Vriksh Ho Bhale Khade
Hon Ghane, Hon Bade,
Ek Patra Chaanv Bhi
Maang Mat, Maang Mat, Maang Mat,
Agnipath, Agnipath, Agnipath!
Tu Na Thakega Kabhi,
Tu Na Thamega Kabhi,
Tu Na Mudega Kabhi,
Kar Shapath, Kar Shapath, Kar Shapath,
Agnipath, Agnipath, Agnipath!
Yeh Mahan Drishya Hai,
Chal Raha Manushya Hai,
Asru, Swed, Rakt Se
Lathpath, Lathpath, Lathpath,
Agnipath, Agnipath, Agnipath!